Whatsapp Par Janein Live Train Status Aur PNR Information

0

 Kya aapko pata hai apne desh me 12,617 trains karib 23 million passengers ko daily unke apne majil tak pahunchate hain. Main ya aap bhi train me safar karte honge. Mostly hum train ka status ya PNR se judi jaankari ke liye Railways ki website ya apps ka use karte hain. Par ab aap Whatsapp Par Janein Live Train Status Aur PNR Information. Ji haan Bilkul aap koi apps ya website par jaane ki jarurat nahi hai.



Aapki Train kitni der me aapke railway station par pahunchegi ye jaanne ke liye ab aapko kisi number par phone karne ya mobile par koi website ya apps dekhne ki jarurat nahi hai. Ab Whatsapp par apni train ki stithi ka pata laga sakte hain. Yani ab aap Whatsapp par apni train ka Live status pata laga sakte hain. Aapki train abhi kanha hai aur kitni der me pahunchegi.

Indian Railways ab Whatsapp par trains ki running status ke  baare me information de raha hai. Railway ne iske liye Online Travel Company MakeMyTrip ke saath collaboration kiya hai. Isme aap ek number par whatsapp karke kisi bhi train ka pata laga sakte hain.

Whatsapp Par  Live Train Status Kaise Pata Karein?

Whatsapp par kisi bhi train ka running status pata karne ke liye sabse pehle aapko 7349389104 ye number apne phone me save karna hoga. Ye Number MakeMyTrip ka Verified Whatsapp Business number hai. To ish number ko MakeMyTrip ke naam se save kar lein. Jab bhi aapko kisi train ka status pata karna hoto ish number se chat open karein, Aur train number message kar dein. Aapka message jaise hi deliver hoga aapko 10 second ya ussey kam me bhi train ki position maalum chal jayegi. Yani aapke Whatsapp par train ka live status aa jayega.   Message me ish baat ki information hogi ki aapka train abhi kanha hao aur kitne baje tak destination par phunch jayegi. Saath me ye bhi information ki aapki train kitni delay chal rahi hai.


Yanha example ke liye maine 1265 Bihar Sampark Kranti ka satus pata kiya hai jiski screenshot aap dekh sakte hain. To dekha aapne hai na bahut aasan.

PNR Number Bhej Kar Jaan Sakte Hain Booking Details

Train ka status to aapne jaan liya ab aap aap PNR Number ko isi number par send karke booking details bhi jaan sakte hain. Aap ish baat ka dhyaan rakhein ki server tak aapka message jab pahunchega to usme 2 blue tick aa jayenge. Ish trah aap PNR Number send karke pata kar sakte hai aapki seat confirm huie hai ya nahi.

Ish trah se aap bina kisi website ya app par gaye bus apne whatsaap se Train ka live status aur PNR details jaan sakte hain. Kabhi kabhi server busy hone ki wajah se isme thoda samy lag sakta hai. Lekin aapke paas message aa jayege.



Ye Bhi Padhein.

IRCTC E Wallet Account Kaise Banayein aur use karein?

Cancelled train ticket Ka check Karein refund status Online

Ab Railway Counter Ticket Cancellation Online Karein

Railway Ne Lauch Kiye ‘Rail Madad’ Aur ‘Menu on Rails’ App

Aapko Ye information kaisi lagi hume comment me jarur batayein. Saath hi aise hi latest tech news ke notification ke liye humare blog ko subscribe kare aur social media par follow karein Dhanyawaad!

Post a Comment

0Comments
Post a Comment (0)